kabhi kabhi to kisi ajnabi ke milne par
bahut purana koi silsila nikalta hai
Manzoor Hashmi
chalo lahu bhi charaghon ki nazr kar denge
ye shart hai ki wo phir raushni ziyaada karen
Manzoor Hashmi
jitne us ke firaq mein guzre
din wo shamil kahan hain jine mein
Manzoor Hashmi
isi umid pe barsen guzar din hum ne
wo kah gaya tha ki mausam palaT ke aate hain
Manzoor Hashmi
ek zamana hai hawaon ki taraf
main charaghon ki taraf ho jaun
Manzoor Hashmi
hamare sath bhi chalta hai rasta
hamare baad bhi rasta chalega
Manzoor Hashmi
hamare lafz aainda zamanon se ibarat hain
paDha jaega kal jo aaj wo tahrir karte hain
Manzoor Hashmi
hadaf bhi mujh ko banana hai aur mere harif
mujhi se tir mujhi se kaman mangte hain
Manzoor Hashmi
firaq bichhDi hui KHushbuon ka sah na saken
to phul apna badan para para karte hain
Manzoor Hashmi