aat bhar dard ki shama jalti rahi
gham ki lau thartharaati rahi raat bha
Makhdoom Mohiuddin
ishq ke shoale ko bhaDkao ki kuchh raat kaTe
dil ke angare ko dahkao ki kuchh raat kaTe
Makhdoom Mohiuddin
kaise hain KHanqah mein arbab-e-KHanqah
kis haal mein hai pir-e-mughan dekhte chalen
Makhdoom Mohiuddin
koh-e-gham aur giran aur giran aur giran
gham-zado teshe ko chamkao ki kuchh raat kaTe
Makhdoom Mohiuddin
manzilen ishq ki aasan huin chalte chalte
aur chamka tera naqsh-e-kaf-e-pa aaKHir-e-sha
Makhdoom Mohiuddin
phir chhiDi raat baat phulon ki
raat hai ya baraat phulon ki
Makhdoom Mohiuddin
tumhaare jism ka suraj jahan jahan TuTa
wahin wahin meri zanjir-e-jaan bhi TuTi hai
Makhdoom Mohiuddin
ye tamanna hai ki uDti hui manzil ka ghubar
subh ke parde mein yaad aa gai sham aahista
Makhdoom Mohiuddin
wasl hai un ki ada hijr hai un ka andaz
kaun sa rang bharun ishq ke afsanon mein
Makhdoom Mohiuddin

