aDe saliqe se duniya ne mere dil ko diye
wo ghao jin mein tha sachchaiyon ka charka bhi
Majeed Amjad
main ek pal ke ranj-e-farawan mein kho gaya
murjha gae zamane mere intizar mein
Majeed Amjad
kya rup dosti ka kya rang dushmani ka
koi nahin jahan mein koi nahin kisi ka
Majeed Amjad
jab anjuman tawajjoh-e-sad-guftugu mein ho
meri taraf bhi ek nigah-e-kam-suKHan paDe
Majeed Amjad
is jalti dhup mein ye ghane saya-dar peD
main apni zindagi unhen de dun jo ban paDe
Majeed Amjad
har waqt fikr-e-marg-e-gharibana chahiye
sehhat ka ek pahlu marizana chahiye
Majeed Amjad
hae wo zindagi fareb aankhen
tu ne kya socha main ne kya samjha
Majeed Amjad
chandni mein saya-ha-e-kaKH-o-ku mein ghumiye
phir kisi ko chahne ki aarzu mein ghumiye
Majeed Amjad