aansuon ke jahan mein rahte hain 
hum isi kahkashan mein rahte hain
Mahtab Alam
and kamre mein zehn kya badle 
ghar se niklo to kuchh faza badle
Mahtab Alam
ane hain kitne chehre chand suraj 
ghazal ke istiaraati ufuq pa
Mahtab Alam
dil bhi toDa to saliqe se na toDa tum ne 
bewafai ke bhi aadab hua karte hain
Mahtab Alam
dil ko phir dard se aabaad kiya hai main ne 
muddaton baad tujhe yaad kiya hai main ne
Mahtab Alam
ek safar phir mari taqdir hua jata hai 
rasta panw ki zanjir hua jata hai
Mahtab Alam
naqido tum to mere fan ki parakh rahne do 
apne sone ko main pital nahin hone dunga
Mahtab Alam
shar se hai KHair ka imkan paida 
nur-o-zulmat hue juDwan paida
Mahtab Alam
tum zamane ke ho hamare siwa 
hum kisi ke nahin tumhaare hain
Mahtab Alam

