aghyar ka shikwa nahin is ahd-e-hawas mein
ek umr ke yaron ne bhi dil toD diya hai
Mahesh Chandra Naqsh
ai 'naqsh' kar raha tha jinhen gharq naKHuda
tufan ke zor se wo safine ubhar gae
Mahesh Chandra Naqsh
ahut dushwar thi rah-e-mohabbat
hamara sath dete ham-safar kya
Mahesh Chandra Naqsh
duniya se haT ke ek nai duniya bana saken
kuchh ahl-e-arzu isi hasrat mein mar gae
Mahesh Chandra Naqsh
Dubne wale mauj-e-tufan se
jaane kya baat karte jate hain
Mahesh Chandra Naqsh
haal kah dete hain nazuk se ishaare akasr
kitni KHamosh nigahon ki zaban hoti hai
Mahesh Chandra Naqsh
is Dubte suraj se to ummid hi kya thi
hans hans ke sitaron ne bhi dil toD diya hai
Mahesh Chandra Naqsh
kaun samjhe hum pe kya guzri hai 'naqsh'
dil laraz uThta hai zikr-e-sham se
Mahesh Chandra Naqsh
KHud-shanasi thi justuju teri
tujh ko DhunDa to aap ko paya
Mahesh Chandra Naqsh