wo zaKHm laga hai ki dikhai nahin deta
darkar hua marham-e-nayab ka phaha
Khwaja Mohammad Vazeer Lakhnavi
yaad-e-mizhgan mein meri aankh lagi jati hai
log sach kahte hain suli pe bhi nind aati hai
Khwaja Mohammad Vazeer Lakhnavi
yar tanha ghar mein hai afsos lekin hum nahin
hur to hai gulshan-e-firdaus mein aadam nahin
Khwaja Mohammad Vazeer Lakhnavi
ye dil-e-bad-guman na dekh sake
agar us but ke ho KHuda hamrah
Khwaja Mohammad Vazeer Lakhnavi
zamin bhi nikli jati hai meri panw ke niche se
mujhe mushkil hua hai sath dena apne manzil ka
Khwaja Mohammad Vazeer Lakhnavi
zar diya zor diya mal diya ganj diye
ai falak kaun se rahat ke ewaz ranj diye
Khwaja Mohammad Vazeer Lakhnavi
haal puchho na mere rone ka bas jaane do
abhi rumal nichoDunga to tufan hoga
Khwaja Mohammad Vazeer Lakhnavi
aaya hai mere dil ka ghubar aansuon ke sath
lo ab to hui malik-e-KHushki-o-tari aankh
Khwaja Mohammad Vazeer Lakhnavi
ai buto dar-parda tum se zahidon ko bhi hai ishq
surat-e-tasbih pinhan rakhte hain zunnar ko
Khwaja Mohammad Vazeer Lakhnavi