aabaad bastiyan thin fasilon ke sae mein
aapas mein bastiyon ko milata hua hisa
Khalid Iqbal Yasir
hul jaana tha jise sabt hai dil par mere
yaad rakhna tha jise us ko bhula baiTha hun
Khalid Iqbal Yasir
ura bhala wasta bahar-taur us se kuchh der to raha hai
kahin sar-e-rah samna ho to itni shiddat se munh na moDun
Khalid Iqbal Yasir
han ye mumkin hai magar itna zaruri bhi nahin
jo koi pyar mein haara wahi fankar hua
Khalid Iqbal Yasir
inhen dar-e-KHwab-gah se kis liye haTaya
muhafizon ki wafa-shiari mein kya kami thi
Khalid Iqbal Yasir
jaisi nigah thi teri waisa fusun hua
jo kuchh tere KHayal mein tha jun-ka-tun hua
Khalid Iqbal Yasir
KHud apni shakl dekhe ek muddat ho gai mujh ko
uTha leta hai patthar TuTe aaine nahin deta
Khalid Iqbal Yasir
lagta hai zinda rahne ki hasrat gai nahin
mar ke bhi sans lene ki aadat gai nahin
Khalid Iqbal Yasir
palaT ke aae na aae koi sune na sune
sada ka kaam fazaon mein gunjte tak hai
Khalid Iqbal Yasir