main to tanha tha magar tujh ko bhi tanha dekha
apni taswir ke pichhe tera chehra dekha
Jameel Malik
peD ka dukh to koi puchhne wala hi na tha
apni hi aag mein jalta hua saya dekha
Jameel Malik
sab ko phul aur kaliyan banTo hum ko do sukhe patte
ye kaise tohfe lae ho ye kya barg-faroshi hai
Jameel Malik
us ki KHamoshiyon mein nihan kitna shor tha
mujh se siwa wo dard ka KHugar laga mujhe
Jameel Malik
ye kya zarur hai main kahun aur tu sune
jo mera haal hai wo tujhe bhi pata to hai
Jameel Malik
ye manzar ye rup anokhe sab shahkar hamare hain
hum ne apne KHun-e-jigar se kya kya naqsh ubhaare hain
Jameel Malik
yun dil mein aaj nur ki barish hui 'jamil'
jaise koi charagh jala de bujha hua
Jameel Malik