aao zara si der ko hum hans-bol hi len
tum ko nahin manzur hai achchha rahne do
Ishrat Afreen
akele ghar mein bhari dopahar ka sannaTa
wahi sukun wahi umr bhar ka sannaTa
Ishrat Afreen
apni aag ko zinda rakhna kitna mushkil hai
patthar bich aaina rakhna kitna mushkil hai
Ishrat Afreen
kachchi umron mein bhi akeli rahi
main sada apni hi saheli rahi
Ishrat Afreen
KHwahishen dil mein machal kar yunhi so jati hain
jaise angnai mein rota hua bachcha koi
Ishrat Afreen
laDkiyan maon jaise muqaddar kyun rakhti hain
tan sahra aur aankh samundar kyun rakhti hain
Ishrat Afreen
tera nam likhti hain ungliyan KHalaon mein
ye bhi ek dua hogi wasl ki duaon mein
Ishrat Afreen
wo jis ne ashkon se haar nahin mani
kis KHamoshi se dariya mein Dub gai
Ishrat Afreen
wo zaKHm chun ke mere KHar mujh mein chhoD gaya
ki us ko shauq tha be-intiha gulabon ka
Ishrat Afreen