kuchh aur bhi hain kaam hamein ai gham-e-jaanan
kab tak koi uljhi hui zulfon ko sanware
Habib Jalib
aane wali barkha dekhen kya dikhlae aankhon ko
ye barkha barsate din to bin piritam be-kar gae
Habib Jalib
jin ki KHatir shahr bhi chhoDa jin ke liye badnam hue
aaj wahi hum se begane begane se rahte hain
Habib Jalib
ek umr sunaen to hikayat na ho puri
do rose mein hum par jo yahan bit gai hai
Habib Jalib
ek teri yaad se ek tere tasawwur se hamein
aa gae yaad kai nam hasinaon ke
Habib Jalib
ek hamein aawara kahna koi baDa ilzam nahin
duniya wale dil walon ko aur bahut kuchh kahte hain
Habib Jalib
dushmanon ne jo dushmani ki hai
doston ne bhi kya kami ki hai
Habib Jalib
duniya to chahti hai yunhi fasle rahen
duniya ke mashwaron pe na ja us gali mein chal
Habib Jalib
dil ki baat labon par la kar ab tak hum dukh sahte hain
hum ne suna tha is basti mein dil wale bhi rahte hain
Habib Jalib