aam hai izn ki jo chaho hawa par likh do
ishq zinda hai zara dast-e-saba par likh do
Farhan Salim
ab mujh se sambhalti nahin ye dard ki saughat
le tujh ko mubarak ho sambhaal apni ye duniya
Farhan Salim
ab us maqam pe hai mausamon ka sard mizaj
ki dil sulagne lage aur dimagh jalne lage
Farhan Salim
aks kuchh na badlega aainon ko dhone se
aazari nahin aati pattharon pe rone se
Farhan Salim
hai meri aankhon mein aks-e-nawishta-e-diwar
samajh sako to mera nutq-e-be-e-zaban le lo
Farhan Salim
hain in mein band kisi ahd-e-rast-KHez ke aks
ye meri aankhen ajaib-gharon mein rakh aana
Farhan Salim
hausla sab ne baDhaya hai mere munsif ka
tum bhi inam koi meri saza par likh do
Farhan Salim
hun wardat ka aini gawah main mujh se
ye meri maut se pahle mera bayan le lo
Farhan Salim
mata-e-dard maal-e-hayat hai shayad
dil-e-shikasta meri kaenat hai shayad
Farhan Salim