aaghaz-e-mohabbat se anjam-e-mohabbat tak
guzra hai jo kuchh hum par tum ne bhi suna hoga
Dil Shahjahanpuri
aarzu lutf talab ishq sarasar nakaam
mubtala zindagi-e-dil inhin auham mein hai
Dil Shahjahanpuri
asar-e-ishq se hun surat-e-shama KHamosh
ye muraqqa hai meri hasrat-e-goyai ka
Dil Shahjahanpuri
hum ko bechain kiye jate hain
hae kya shai wo liye jate hain
Dil Shahjahanpuri
husn-e-KHud-bin ko hua aur siwa naz-e-hijab
shauq jab had se baDha chashm-e-tamashai ka
Dil Shahjahanpuri
kya jaane kis KHayal se chhoDa pa haal-e-zar
mujh par baDa karam hai mere chaarasaz ka
Dil Shahjahanpuri
main gharq ho raha tha ki tufan-e-ishq ne
ek mauj-e-be-qarar ko sahil bana diya
Dil Shahjahanpuri
mai-e-kausar ka asar chashm-e-siyah-fam mein hai
saqi-e-mast ajab kaif tere jam mein hai
Dil Shahjahanpuri
shabab Dhalte hi aai piri maal par ab nazar hui hai
baDi hi ghaflat mein shab guzari kahan pahunch kar sahar hui hai
Dil Shahjahanpuri