kuchh aap ka gham kuchh gham-e-jaan kuchh gham-e-duniya
daman mein mere phul bhi hain KHar bhi KHas bhi
Azeem Murtaza
kuchh naqsh teri yaad ke baqi hain abhi tak
dil be-sar-o-saman sahi viran to nahin hai
Azeem Murtaza
kya kya faraghaten thin mayassar hayat ko
wo din bhi the ki tere siwa koi gham na tha
Azeem Murtaza
tanhai ka sannaTa aur aati jati raaten
teri yaad na aur koi gham phir bhi nind na aae
Azeem Murtaza
tujh se mil ke bhi tera intizar rahta hai
subh ru-e-KHandan se sham zulf-e-barham tak
Azeem Murtaza
TuTa to aziz aur hua ahl-e-wafa ko
dil bhi kahin us shoKH ka paiman to nahin hai
Azeem Murtaza
wahi yaksaniyat-e-sham-o-sahar hai ki jo thi
zindagi dast-ba-dil KHak-basar hai ki jo thi
Azeem Murtaza