apna makan bhi tha usi moD par magar
jaane main kis KHayal mein auron ke ghar gaya
Aslam Azad
dhup ke baadal baras kar ja chuke the aur main
oDh kar shabnam ki chadar chhat pe soya raat bha
Aslam Azad
doston ke sath din mein baiTh kar hansta raha
apne kamre mein wo ja kar KHub roya raat bha
Aslam Azad
hamare bich wo chup-chap baiTha rahta hai
main sochta hun magar kuchh mujhe pata na lage
Aslam Azad
hazar bar nigahon se chum kar dekha
labon pe us ke wo pahli si ab miThas nahin
Aslam Azad
kisi tarah na tilism-e-sukut TuT saka
wo de raha tha bahut dur se sada mujh ko
Aslam Azad
koi diwar salamat hai na ab chhat meri
KHana-e-KHasta ki surat hui haalat meri
Aslam Azad
main ne apni KHwahishon ka qatl KHud hi kar diya
hath KHun-alud hain in ko abhi dhoya nahin
Aslam Azad
na dasht o dar se alag tha na jangalon se juda
wo apne shahr mein rahta tha phir bhi tanha tha
Aslam Azad