اردو हिंदी
Aslam Ansari Shayari | Shaahi Shayari

Aslam Ansari Shers

12 Shers

ag-e-har-saz ye kahti hai ki ai naghma-taraaz
mujh ko ek saltanat-e-saut-o-sada chahiye thi

Aslam Ansari


Tags: | 2 Lines Shayari |


uDa hai rafta rafta rang taswir-e-mohabbat ka
hui hai rasm-e-ulfat be-wiqar aahista aahista

Aslam Ansari


Tags: | 2 Lines Shayari |


zara si baat pe kya kya fasana-sazi hai
main KHud bhi chahta kab tha ki dastan na bane

Aslam Ansari


Tags: | 2 Lines Shayari |