saunpoge apne baad wirasat mein kya mujhe
bachche ka ye sawal hai gunge samaj se
Ashar Najmi
shayad meri nigah mein koi shigaf tha
warna udas raat ka chehra to saf tha
Ashar Najmi
tere badan ki dhup se mahrum kab hua
lekin ye istiara bhi manzum kab hua
Ashar Najmi
tum bhi the sarshaar main bhi gharq-e-bahr-e-rang-o-bu
phir bhala donon mein aaKHir KHud-kashida kaun tha
Ashar Najmi
wo jin ki hijraton ke aaj bhi kuchh dagh raushan hain
unhi bichhDe parindon ko shajar wapas bulata hai
Ashar Najmi
zahr mein Dubi hui parchhaiyon ka raqs hai
KHud se wabasta yahan main bhi nahin tu bhi nahin
Ashar Najmi