na jaane us ne khule aasman mein kya dekha
parinda phir se jahan-e-qafas mein lauT aaya
Arshad Jamal u0027Sarimu0027
aqam karun bhi to kaise main dastan-e-wafa
huruf phirte hain begane mere kaghaz se
Arshad Jamal u0027Sarimu0027
supurd-e-ab yun hi to nahin karta hun KHak apni
ajab miTTi ke ghulne ka maza barish mein rahta hai
Arshad Jamal u0027Sarimu0027
wo ek lamha saza kaTi gai thi jis ki KHatir
wo lamha to abhi hum ne guzara hi nahin tha
Arshad Jamal u0027Sarimu0027
zindagi hum se teri aankh-micholi kab tak
ek na ek roz kisi moD pe aa lenge tujhe
Arshad Jamal u0027Sarimu0027
zindagi tu bhi hamein waise hi ek roz guzar
jis tarah hum tujhe barson se guzare hue hain
Arshad Jamal u0027Sarimu0027