abhi to main ne faqat barishon ko jhela hai
ab is ke baad samundar bhi dekhna hai mujhe
Arif Imam
ajab tha nashsha-e-waraftagi-e-wasl use
wo taza-dam raha mujh ko niDhaal kar ke bhi
Arif Imam
apne hi pairon se apna-ap raund
apni hasti ko miTa kar raqs ka
Arif Imam
ana raha hun abhi ghar ko aaina-KHana
phir apne hath mein patthar bhi dekhna hai mujhe
Arif Imam
ek parda hai be-sabaati ka
aaine aur tere jamal ke bich
Arif Imam
hawas na jaan tujhe chhu ke dekhna ye hai
tujhe hi dekh rahe hain ki KHwab dekhte hain
Arif Imam
ek baras ho gaya use dekhe
ek sadi aa gai hai sal ke bich
Arif Imam
KHun kitna baha tha maqtal mein
meri aankhon mein KHun utarne tak
Arif Imam
subu mein aks-e-ruKH-e-mahtab dekhte hain
sharab pite nahin hum sharab dekhte hain
Arif Imam