aae but-KHane se kabe ko to kya bhar paya
ja paDe the to wahin hum ko paDa rahna tha
Ameer Minai
aankhen dikhlate ho joban to dikhao sahab
wo alag bandh ke rakkha hai jo mal achchha hai
show me not your anger dear show me your youthful prime
the wealth that you have covered up is truly sublime
Ameer Minai
aabru shart hai insan ke liye duniya mein
na rahi aab jo baqi to hai gauhar pattha
Ameer Minai
aafat to hai wo naz bhi andaz bhi lekin
marta hun main jis par wo ada aur hi kuchh hai
Ameer Minai
aahon se soz-e-ishq miTaya na jaega
phunkon se ye charagh bujhaya na jaega
Ameer Minai
aashiq ka bankpan na gaya baad-e-marg bhi
taKHte pe ghusl ke jo liTaya akaD gaya
Ameer Minai
aaya na ek bar ayaadat ko tu masih
sau bar main fareb se bimar ho chuka
Ameer Minai
ab aaya dhyan ai jaan-e-jahan is na-muradi mein
kafan dena tumhein bhule the hum asbab-e-shadi mein
Ameer Minai
abhi aae abhi jate ho jaldi kya hai dam le lo
na chhoDunga main jaisi chahe tum mujh se qasam le lo
Ameer Minai