lai hai kis maqam pe ye zindagi mujhe
mahsus ho rahi hai KHud apni kami mujhe
Ali Ahmad Jalili
nasheman hi ke luT jaane ka gham hota to kya gham tha
yahan to bechne wale ne gulshan bech Dala hai
Ali Ahmad Jalili
phirta hun apna naqsh-e-qadam DhunDta hua
le kar charagh hath mein wo bhi bujha hua
Ali Ahmad Jalili
oke se kahin hadsa-e-waqt ruka hai
shoalon se bacha shahr to shabnam se jala hai
Ali Ahmad Jalili
us shajar ke sae mein baiTha hun main
jis ki shaKHon par koi patta nahin
Ali Ahmad Jalili
ye KHun rang-e-chaman mein badal bhi sakta hai
zara Thahar ki badal jaenge ye manzar bhi
Ali Ahmad Jalili