ja ke main ku-e-butan mein ye sada deta hun
dil o din bechne aaya hai musalman koi
Ahmad Husain Mail
aasman khae to zamin dekhe
dahan-e-gor ka niwala hun
Ahmad Husain Mail
hangam-e-qanaat dil-e-murda hua zinda
mazmun-e-qum eajaz-e-lab-e-nan-e-jawin tha
Ahmad Husain Mail
gar bas chale to aap phirun apne gard main
kabe ko ja ke kaun ho ai jaan-e-man KHara
Ahmad Husain Mail
ghair ka haal to kahta hun nujumi ban kar
aap-biti nahin malum wo nadan hun main
Ahmad Husain Mail
dur se yun diya mujhe bosa
honT ki honT ko KHabar na hui
Ahmad Husain Mail
duniya ne munh pe Dala hai parda sarab ka
hote hain dauD dauD ke tishna-dahan KHara
Ahmad Husain Mail
chaak-e-dil se jhankiye duniya idhar se din udhar
dekhiye sab ka tamasha is shigaf-e-dar se aap
Ahmad Husain Mail
and-e-qaba mein bandh liya le ke dil mera
sine pe us ke phul khila hai gulab ka
Ahmad Husain Mail