ab kisi KHwab ki tabir nahin chahta main
koi surat pas-e-taswir nahin chahta main
Ahmad Ashfaq
ajab Thahrao paida ho raha hai roz o shab mein
meri wahshat koi taza aziyyat chahti hai
Ahmad Ashfaq
ahut baid na tha masalon ka hal hona
ana ke panw se zanjir hum haTa na sake
Ahmad Ashfaq
ikta rahta sar-e-bazar kai qiston mein
shukr hai mere KHuda ne mujhe shohrat nahin di
Ahmad Ashfaq
chiKH uThta hai dafatan kirdar
jab koi shaKHs bad-guman ho jae
Ahmad Ashfaq
fasle ye simaT nahin sakte
ab parayon mein kar shumar mujhe
Ahmad Ashfaq
kisi ki shaKHsiyat majruh kar di
zamane bhar mein shohrat ho rahi hai
Ahmad Ashfaq
lagta hai ki is dil mein koi qaid hai 'ashfaq'
rone ki sada aati hai yaadon ke khanDar se
Ahmad Ashfaq
meri kam-goi pe jo tanz kiya karte hain
meri kam-goi ke asbab se na-waqif hain
Ahmad Ashfaq