dil-e-muztar wafa ke bab mein ye jald-bazi kya
zara ruk jaen aur dekhen natija kya nikalta hai
Aftab Hussain
dilon ke bab mein kya daKHl 'aftab-husain'
so baat phail gai muKHtasar banate hue
Aftab Hussain
duniya se alaihadgi ka rasta
duniya se nibah kar ke dekha
Aftab Hussain
abhi dilon ki tanabon mein saKHtiyan hain bahut
abhi hamari dua mein asar nahin aaya
Aftab Hussain
firaq mausam ki chilmanon se visal lamhe chamak uThenge
udas shamon mein kaghaz-e-dil pe guzre waqton ke bab likhna
Aftab Hussain
gae manzaron se ye kya uDa hai nigah mein
koi aks hai ki ghubar sa hai nigah mein
Aftab Hussain
gae zamanon ki dard kajlai bhuli bisri kitab paDh kar
jo ho sake tum se aane wale dinon ke rangin KHwab likhna
Aftab Hussain
haal hamara puchhne wale
kya batlaen sab achchha hai
Aftab Hussain
har ek gam ulajhta hun apne aap se main
wo tir hun jo KHud apni kaman ki zad mein hai
Aftab Hussain