ab qafas aur gulistan mein koi farq nahin
hum ko KHushbu ki talab hai ye saba jaanti hai
Abid Wadood
hum faqiron ka pairahan hai dhup
aur ye raat apni chadar hai
Abid Wadood
hum kisi sultan ke tabe nahin 'abid-wadud'
hum wo kahte hain jo apne dil pe hai guzri hui
Abid Wadood
is e'tibar pe kaTi hai hum ne umr-e-aziz
sahar ka waqt ujale bhi sath laega
Abid Wadood
koi manzar bhi nahin achchha laga
ab ke aaankhon mein hai virani bahut
Abid Wadood
magar ye tirgi jaane ka nam leti nahin
main nur banTta soz-e-nihan ki zad mein hun
Abid Wadood
main barishon mein bahut bhigta raha 'abid'
sulagti dhup mein ek chhat bahut zaruri hai
Abid Wadood
sab apne apne tariqe se bhik mangte hain
koi ba-nam-e-mohabbat koi ba-jama-e-ishq
Abid Wadood
sar par gire makan ka malba hi rakh liya
duniya ke qimti sar-o-saman se gae
Abid Wadood