araste the baadal dhuan phailta tha ajab chaar jaanib
faza khil uThi to sarapa tumhaara bahut yaad aaya
Abdul Hamid
dam-ba-dam mujh pe chala kar talwar
ek patthar ko jila di us ne
Abdul Hamid
din guzarte hain guzarte hi chale jate hain
ek lamha jo kisi tarah guzarta hi nahin
Abdul Hamid
dur basti pe hai dhuan kab se
kya jala hai jise bujhate nahin
Abdul Hamid
ek mishal thi bujha di us ne
phir andheron ko hawa di us ne
Abdul Hamid
falak par uDte jate baadalon ko dekhta hun main
hawa kahti hai mujh se ye tamasha kaisa lagta hai
Abdul Hamid
lauT gae sab soch ke ghar mein koi nahin hai
aur ye hum ki andhera kar ke baiTh gae hain
Abdul Hamid
logon ne bahut chaha apna sa bana Dalen
par hum ne ki apne ko insan bahut rakkha
Abdul Hamid
panw rukte hi nahin zehn Thaharta hi nahin
koi nashsha hai thakan ka ki utarta hi nahin
Abdul Hamid