tamannaon ko zinda aarzuon ko jawan kar lun
ye sharmili nazar kah de to kuchh gustaKHiyan kar lun
bahaar aai hai bulbul dard-e-dil kahti hai phulon se
kaho to main bhi apna dard-e-dil tum se bayan kar lun
hazaron shoKH arman le rahe hain chuTkiyan dil mein
haya un ki ijazat de to kuchh bebakiyan kar lun
koi surat to ho duniya-e-fani mein bahalne ki
Thahar ja ai jawani matam-e-umr-e-rawan kar lun
chaman mein hain baham parwana o shama o gul o bulbul
ijazat ho to main bhi haal-e-dil apna bayan kar lun
kise malum kab kis waqt kis par gir paDe bijli
abhi se main chaman mein chal kar aabaad aashiyan kar lun
bar aaen hasraten kya kya agar maut itni fursat de
ki ek bar aur zinda shewa-e-ishq-e-jawan kar lun
mujhe donon jahan mein ek wo mil jaen gar 'aKHtar'
to apni hasraton ko be-niyaz-e-do-jahan kar lun
Ghazal
Tamannaon ko zinda aarzuon ko jawan kar lun
Akhtar Shirani