tamir hum ne ki thi hamin ne gira diye
shab ko mahal banae sawere gira diye
kamzor jo hue hon wo rishte kise aziz
pile paDe to shaKH ne patte gira diye
ab tak hamari umr ka bachpan nahin gaya
ghar se chale the jeb ke paise gira diye
patthar se dil ki aag sambhaali nahin gai
pahunchi zara si choT patinge gira diye
barson hue the jin ki tahen kholte hue
apni nazar se hum ne wo chehre gira diye
shahr-e-tarab mein raat hawa tez thi bahut
kandhon se mah-washon ke dupaTTe gira diye
tab-e-nazar ko hausla milna hi tha kabhi
kyun tum ne ehtiyat mein parde gira diye
Ghazal
Tamir humne ki thi hamin ne gira diye
Nashtar Khaanqahi