koi ye kah de gulshan gulshan
lakh balaen ek nasheman
qatil rahbar qatil rahzan
dil sa dost na dil sa dushman
phul khile hain gulshan gulshan
lekin apna apna daman
ishq hai pyare khel nahin hai
ishq hai kare-shisha-o-ahan
KHair mizaj-e-husn ki ya-rab
tez bahut hai dil ki dhaDkan
aa ki na jaane tujh bin kab se
ruh hai lasha jism hai madfan
aaj na jaane raaz ye kya hai
hijr ki raat aur itni raushan
umren bitin sadiyan guzrin
hai wahi ab tak ishq ka bachpan
tujh sa hasin aur KHun-e-mohabbat
wahm hai shayad surKHi-e-daman
barq-e-hawadis allah allah
jhum rahi hai shaKH-e-nasheman
tu ne sulajh kar gesu-e-jaanan
aur baDha di shauq ki uljhan
rahmat hogi talib-e-isyan
rashk karegi paki-e-daman
dil ki mujassam aaina-saman
aur wo zalim aaina-dushman
baiThe hum har bazm mein lekin
jhaD ke uTThe apna daman
hasti-e-shaer allah allah
husn ki manzil ishq ka maskan
rangin fitrat sada tabiat
farsh-nashin aur arsh-nasheman
kaam adhura aur aazadi
nam baDe aur thoDe darshan
shama hai lekin dhundli dhudli
saya hai lekin raushan raushan
kanTon ka bhi haq hai kuchh aaKHir
kaun chhuDae apna daman
chalti phirti chhanw hai pyare
kis ka sahra kaisa gulshan
Ghazal
Koi ye kah de gulshan gulshan
Jigar Moradabadi