koi na chahne wala tha husn-e-ruswa ka
dayar-e-gham mein raha dil ko pas duniya ka
fareb-e-subh-e-bahaaran bhi hai qubul hamein
koi naqib to aaya payam-e-farda ka
hum aaj rah-e-tamanna mein ji ko haar aae
na dard-o-gham ka bharosa raha na duniya ka
teri wafa ne diya dars-e-agahi hum ko
tere junun ne kiya kaam chashm-e-bina ka
ulajh ke rah gai har tan se nawa-e-sarosh
tilism TuT gaya husn-e-naghma-paira ka
shab-e-firaq mein tare gine to nind aai
ye haal ho gaya aaKHir tumhaare shaida ka
'wahid' garmi-e-andesha ne ghazab Dhaya
sulag raha hai abhi hath KHama-farsa ka
Ghazal
Koi na chahne wala tha husn-e-ruswa ka
Waheed Quraishi