dur se hi bas dariya dariya lagta hai
Dub ke dekho kitna pyasa lagta hai
tanha ho to ghabraya sa lagta hai
bhiD mein us ko dekh ke achchha lagta hai
aaj ye hai kal aur yahan hoga koi
socho to sab khel-tamasha lagta hai
main hi na manun mere bikharne mein warna
duniya bhar ko hath tumhaara lagta hai
zehn se kaghaz par taswir utarte hi
ek musawwir kitna akela lagta hai
pyar ke is nashsha ko koi kya samjhe
Thokar mein jab sara zamana lagta hai
bhiD mein rah kar apna bhi kab rah pata
chand akela hai to sab ka lagta hai
shaKH pe baiThi bholi-bhaali ek chiDiya
kya jaane us par bhi nishana lagta hai
Ghazal
Dur se hi bas dariya dariya lagta hai
Waseem Barelvi