chamak jugnu ki barq-e-be-aman malum hoti hai
qafas mein rah ke qadr-e-ashiyan malum hoti hai
kahani meri rudad-e-jahan malum hoti hai
jo sunta hai usi ki dastan malum hoti hai
sahar tak sai-e-nala raegan malum hoti hai
ye duniya to ba-qadr-e-yak-fughan malum hoti hai
kisi ke dil mein gunjaish nahin wo bar-e-hasti hon
lahad ko bhi meri miTTi giran malum hoti hai
KHizan ke waqt bhi KHamosh rahti hai faza sari
chaman ki patti patti raaz-dan malum hoti hai
hawa-e-shauq ki quwwat wahan le aai hai mujh ko
jahan manzil bhi gard-e-karwan malum hoti hai
taraqqi par hai roz-afzun KHalish dard-e-mohabbat ki
jahan mahsus hoti thi wahan malum hoti hai
qafas ki tiliyon mein jaane kya tarkib rakkhi hai
ki har bijli qarib-e-ashiyan malum hoti hai
na kyun 'simab' mujh ko qadr ho virani-e-dil ki
ye buniyaad-e-nashat-e-do-jahan malum hoti hai
Ghazal
Chamak jugnu ki barq-e-be-aman malum hoti hai
Seemab Akbarabadi