اردو हिंदी
Ashk-bari na miTi sina-figari na gai | Shaahi Shayari
ashk-bari na miTi sina-figari na gai

Ghazal

Ashk-bari na miTi sina-figari na gai

Akhtar Shirani

;

ashk-bari na miTi sina-figari na gai
lala-kari kisi surat bhi hamari na gai

kucha-e-husn chhuTa to hue ruswa-e-sharab
apni qismat mein jo likkhi thi wo KHwari na gai

un ki mastana nigahon ka nahin koi qusur
naseho zindagi KHud hum se sanwari na gai

chashm-e-mahzun pe na lahrai wo zulf-e-shadab
ye pari hum se bhi shishe mein utari na gai

muddaten ho gain bichhDe hue tum se lekin
aaj tak dil se mere yaad tumhaari na gai

shad o KHandan rahe hum yun to jahan mein lekin
apni fitrat se kabhi dard-shiari na gai

saikDon bar mere samne ki tauba magar
tauba 'aKHtar' ki teri baada-gusari na gai